Bahaar tham, abhi jashn-E-bahaar baqi hai


Bahaar tham, abhi jashn-E-bahaar baqi hai
Rubaru gul hai , per didaar -E-yaar baqi hai

Hazaar sajde kiye dear-O-haram mein phir bhi
Lahoo men shar, aur dil per ghubaar baqi hai

Ye sab jaam-E-mohabbat ka asar hai saqi
Raat dhal gayi phir bhi khumaar baqi hai

khuda ki zaat se umeed chorte kyuN ho
KhezaaN ke baad sama kushgawaar baqi hai

Lab-E-darya yahaN koyi shahr tha shayad
Lekin uski faqat kuch diwaar baqi hai

Phir shuruaat nayi mujhse huyi "Anjum"
Phir ek parwaaz sitaroN ke dayaar baqi hai

Wao

Related Posts with Thumbnails