Amjad Islam Amjad | Wo shakhs aisa gaya
Koi lamha bhe kabhi laut kar nahi aaya
Wo shakhs aisa gaya phir nazar nahi aaya
Wafa ke dasht mein raasta nahi mila koi
Siwaye gard-e-safar humsafar nahi aaya
Kisi chiraag ne poochi nahi khabar meri
koi bhe phool mere naam per nahi aaya
Palat kar aane lagay shaam ke parindey bhi
Hamaara subha ka bhoola magar nahi aaya
Hamein yakeen hai Amjad woh waadaa khilaaf
Ye umar kaise kategee agar nahee aayaa

