Us bewafaa ka shahar hai aur............
Us bewafaa ka shahar hai aur ham hain doston
Ashk-e-ravaan ki nahar hai aur ham hain doston
Shaam-e-aalam dhali to chali dard ki hawaa
Raaton ka pichlaa pahar hai aur aur ham hain doston
Aankhon mein urr rahi hai luti mahfilon ki dhuul
Ibrat bara-e-dahar hai aur ham hain doston
Ye Ajnabi si manzilen aur raftagaan ki yaad
Tanhaiyon ka zahar hai aur ham hain doston
