Showing posts with label agar tum. Show all posts
Showing posts with label agar tum. Show all posts

Tum ko zabt kerna hai


Tum ko zabt kerna hai
Zabt bhi kamal ka

Neend sey nedhal ho
Dard be-misal ho

Jag ker bta dena
Zakhm zakhm ho jao

Phir bhi muskura dena
Tum ko sabar kerna hai

Khod pey jabar kerna hai
Khar khar kerna hai

Intezar kerna hai
Is gulab lamhey ka

Aitbar jo dey ga
Ikhteyar jo dey ga

Tum to apnay ho kaisay nikalaiy tumhaiy


Tum to apnay ho kaisay nikalaiy tumhaiy dill say

Hum to dushman ko bhi be ghar honay nahe detay

Sathi mere ban jao wafadar agar tum ..!


Sathi mere ban jao wafadar agar tum
So bar me jan dun kaho ik bar agar tum..

Rah-e-masaeb mei bhi so bar chalun ga
Ban k mere sathi chalo ik bar agar tum..

Me haarne wala nai duniya ho mukhalif
Me haarta keh dete mujhe haar agar tum..

Ho jaegi tameer nai rah-e-muhabbat
Mazdoor hun ga me hue ma`amaar agar tum..

Koi bhi na kar paega inkar ki jurrat
Ik bar zuban se karo iqrar agar tum..

Girta na kabhi dard ki manjhdar mei Rahuzar
Ho jate meri naao ke patwaar agar tum..

Wao

Related Posts with Thumbnails