Showing posts with label Aur hi kisi ka. Show all posts
Showing posts with label Aur hi kisi ka. Show all posts

Wo aur hi kisi ka mere baad ho gaya...!


Shehar_e_khayal_o_khawab may aabad ho gaya
Itna usay parha k mujhe yaad ho gaya...

Main aj tak hoon jis k faraib_o_hisar mein
wo aur hi kisi ka mere baad ho giya...

Aandhi , hawa ka sath nibhane k shoq mein
koi tabah ho gaya , barbaad ho gaya...

Apni tho sari umar aseeri mein kat gai
jis ne b haar maan li azad ho gaya...

Pahley tho paniyon say rahi guftagu meri
phir yun howa k aaina ijaad ho gaya...

Wao

Related Posts with Thumbnails