Koi nayi zameen ho nayaa aasmaan bhi ho
Koi nayi zameen ho nayaa aasmaan bhi ho
ae dil ab uss ke paas chale vo jahaan bhi ho
afsurdagi-e-ishq mein soz-e-nihaan bhi ho
yaani bujhe dilon se kuch uthtaa dhuaan bhi ho
hum apne gham_gusaar-e-mohabbat na ho sakke
tum toh hamaare haal pe kuch meharbaan bhi ho
bazm-e-tasavvuraat mein ae dost yaad aa
iss mehfil-e-nishaat mein gham ka samaan bhi ho
mehboob vo ki sare se kadam tak khuloos ho
aashiq vahi ke husn se kuch bad-gumaan bhi ho
