Showing posts with label Ankhoon sy kaho. Show all posts
Showing posts with label Ankhoon sy kaho. Show all posts

Ankhoon sy kaho pyar ka ....!


ankhoon sy kaho pyar ka andaz na badlein
sanson sy kaho dard ka ye saaz na badlein

ay ga kabhi pyar ka musam bhi kisi rooz
dharkanon sy kaho rooh ka hamraz na badlein

yun sochna or jagna kismat mein hai din raat
yadon sy kaho pyar ki parvaz na badlein

miltay hein door ja k darya k 2 kinaray
chahaton sy kaho safar ka andaz na badlein

suntay hein har ek chaap mein teray anay ki ahat
pauon sy kaho chalnay ka andaz na badlein...

Wao

Related Posts with Thumbnails