Showing posts with label Bharosa. Show all posts
Showing posts with label Bharosa. Show all posts

Ub kuch luta diya faqat tujh pe bharosa kar k


ub kuch luta diya faqat tujh pe bharosa kar k
Jane kiun bhot roye hum aysa kar k

Yun meri be-basi pe muskurane wale
Kiya mila tujh ko mere dukh mein ezafa kar k

Kiya kabhi tu ne bhi mujh se mohbbat ki thi
Puch zara khud ko aaine me khara kar k

Kash tu mere dard me hamdard bana hota
Tu ne to chor diya mujh ko tamasha kar k

Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina


Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina
Mujhay tum azmanay se zara pahlay bata daina

Kisi heelay bahanay se zara pahlay bata daina
K mujh ko tum bholanay se zara pahlay bata daina

Zamin ke rait pe tum ne mohabbat se likhi thi jo
Woh tahrerain mitanay se zara pahlay bata daina

Mairay dilber k is dil per main rakh loon zabt ka pathar
Suno daman churanay se zara pahlay bata daina

Kisi bhi mor pe “Mohsin” bura pao agar mujh ko
Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina..

Wao

Related Posts with Thumbnails