Showing posts with label Habib Jalib. Show all posts
Showing posts with label Habib Jalib. Show all posts

Kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye


Kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye
Tujhe bewafa kahun main woh maqaam aa na jaaye

Zara zulf ko sambhalo, mera dil dhadak raha hai
Koi aur tair-e-dil tah-e-daam aa na jaaye

Jissay sun ke toot jaaye mera aarzoo bhara dil
Teri anjuman se mujhko woh payaam aa na jaaye

Woh jo manzilon pe lakar kisi humsafar ko lootein
Inhi rehzano mein tera kahin naam aa na jaaye

Iss fikar mein hain gultaan yeh nizam-e-zar ke bunday
Jo tamam zindagi hai woh nizam aa na jaaye

Yeh mah-o-najoom hans lein mere aansuon pe jalib
Mera mehtaab jab tak lab-e-baam aa na jaaye…

Habib Jalib's ghazal


Habib Jalib was a leading Pakistani poet who raised his voice against the government during the imposition of martial law. Jalib's poetry echoed the sentiments of the society during the repressive regimes.

शेर होता है अब महीनों में
ज़िन्दगी ढल गयी मशीनों में

प्यार की रोशनी नहीं मिलती
इन मकानों में, इन मकीनों में

देख कर दोस्ती का हाथ बढ़ाओ
सांप होते हैं आस्तीनों में

कहर की आँख से न देख इनको
दिल धड़कते हैं आबगीनों में

आसमानों की खैर हो या रब
एक नया अज़्म है ज़मीनों में

वोः मोहब्बत नहीं रही जालिब
हम-सफ़ीरों में, हम-नशीनों में

sher hota hai ab mahiinoN meN
zindagi Dhal gayii mashiinoN meN

pyaar kii roshnii nahiiN miltii
in makaanoN meN, in makiinoN meN

dekh kar dostii kaa haath baDhaao
saaNp hote haiN aastiinoN meN

qahar kii aaNkh se na dekh inko
dil dhaDakte haiN aabgiinoN meN

aasmaanoN kii Khair ho yaa Rab
ek nayaa azm hai zamiinoN meN

voh mohabbat nahiiN rahii Jaalib
ham-safiiroN meN, ham-nashiinoN meN

Wao

Related Posts with Thumbnails