Showing posts with label Nisaab Jaisa. Show all posts
Showing posts with label Nisaab Jaisa. Show all posts

Muhabbton Ke Nisaab Jaisa


Muhabbton Ke Nisaab Jaisa
Woh Aik Chehra Kitaab Jaisa

Mehkta Hai Meray Qalb O Jaan Mein
Woh Shakhs Khiltay Ghulaab Jaisa

Yaqeen Bhi Hai Wo Meray Dil Ka
Gumaan bhi Hai Saraab Jaisa

Main Sochon Us Ko Tou TooT Jaye
Khayaal Nazuk Hubaab Jaisa

Wo Baansuri Hai Jo Hoont Rekhon
Jo Daikhon Choo k, Rubaab Jaisa

Main Us Ke Agay Na Daikh Paaon
Wo Ik Sarapa Naqaab Jaisa

"Qamar" Gunah Hai Yahan Muhabbat
Mujhay Gunah Yeh Sawaab Jaisa

Wao

Related Posts with Thumbnails