Showing posts with label Khafa. Show all posts
Showing posts with label Khafa. Show all posts

Kyun ho itnay khafa khafa se


Kyun ho itnay khafa khafa se,
Kyun ho itnay juda juda se..

Tujhe bhula dain to kaisay,
Kyun ho itnay dua dua se..

Yeh tanhai dasti hai mujhe,
Kyun ho itnay saza saza se..

Tera hi zikar kiya mein ne har gari,
Kyun ho phir itnay bewafa bewafa se..

Tera hi naqsh namayaan hai janaa,
Aashar ki har ada ada se.

Hoon To Khafa Us SE,


Hoon To Khafa Us SE,
Per Janay Phir B Kiyn…?
Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai…
Haqeeqat Se Hoon Dhoor,
Ye Mujh Ko Hai Pata…
Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai…
Qaayel Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi…
Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai…
Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,
Tu MERA Rahay Ga…
Kuch Pal Is Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai….!!

Wao

Related Posts with Thumbnails