Dasht-E-Gurbat Main.....!!!
Dasht- e- gurbat main muflishon ka lahu aam bikta hai
Kisi ka jism bikta hai kisi ka naam bikta hai.
Dunya de gi kya tum ko or tum lo ge kya is se
Aa mera daaman thaam, k maikaday may jaam bikta hai.
Hirs kay bazaroon may hawaa ki beti ka aanchal
Pehle subha ko bikta tah maga ab her sham bikta hai..
Ameer-e-shehar k mehlaat ki baat bhi khoob hai.
Magar faqueer-e-shehar ki goad main armaan bikta hai
