Showing posts with label baar baar. Show all posts
Showing posts with label baar baar. Show all posts

Mere Dil pe dastak deta hai koi baar baar


Mere Dil pe dastak deta hai koi baar baar
Mere jazbo ko jhinjorrta hai koi baar baar

Jitna main door jaana chahti hoon
Utna hi paas bulata hai koi baar baar

Raaston main meri yaadon main aaker
Meri neendein churata hai koi baar baar

Kaan kharre hojaate hain zara si aahat per
Aisa lagta hai mujhko pukaarta hai koi baar baar

Raah chalte chalte qadam theher jaate hain
Her shay main nazar aata hai koi baar baar

Aata rehta hai mere khayalon main bin bulaye
Reh reh ker mere ehsaas ko koi jagata hai baar baar

Mustaqbil main bhala kaise rakhoon qadam
Jab maazi ki yaad dilata hai koi baar baar

Wao

Related Posts with Thumbnails