Kal Raat Bazam Mein jo .........
Kal Raat Bazam Mein jo Mila Gulbadan Saa Tha
Khushboo Say Uss ke Lafz Thy Chehra Chaman Sa Tha
Daikha Ussay Tou Bol Paray Uss Kay Khad-o-Khaal
Poocha Ussay Tu Chup sa raha, Kam Sukhan Sa tha
Tunhaiyoon Kee Rutt Mein Bhi Lagta Tha Mut'mayeen
Wo Shakhs Apni Zaat Mein Ik Anjuman Sa Tha
Socha Ussay Tu Mein Kai Rungoon mein Kho Gaya
Alam Tamaam Uss Kay Haseen Payrhan Saa Tha
Jo Shaakh Shaakh Thee woh Ussi Kay Labon See Thi
Jo Phool Khil Gaya Tha Woh Ussi Kay Dehan Saa Tha
Woh Sadgi Pehan Kay Bhi Dil Mein Utar Gaya
Uss Ke Har Ik Ada Mein Ajab Bhoolpan Saa Tha
