Basti bhi samander bhi beyaban bhi mera hai


Basti bhi samander bhi beyaban bhi mera hai
AakheN bhi meri khab-e-pareshan bhi mera hai

Jo dubti jati hai wo kashti bhi hai meri
Jo tutta jata hai wo peyman bhi mera hai

Jo hath uthe the wo sabhi hath the mere
Jo chak huaa wo gereban bhi mera hai

Jis ki koi aawaz na pahchan na manzil
Wo qafla be saro saman bhi mera hai

Wiranye maqtal pe hejab aaya to is bar
Khud chikh para mai ke ye unwan bhi mera hai

Daraf tagee-e-subah basharat ko khaber kya
Andesha-e-sad sham-e-ghariban bhi mera hai

Mai waris-e-gul hoon ke nahi hoon mager hai jan
Khamyaza tauhin baharan bhi mera hai

Mitti ki gawahi se bari dil ki gawahi
YouN ho to ye zangeer ye zandaN bhi mera hai

Wao

Related Posts with Thumbnails