Arshad Malik Poetry - Zahir kisi surat


Zahir kisi surat bhi kahin naam na kerna
Hain log bahut khaas hamain aam na kerna

Janey ki ijazat to diey daitey hain laikin
Rastey main kahin aatey huey shaam na kerna

Kuch roz se yeh haal hai chahat main tumharee
Beqaar parrey rehna koi kaam na kerna

Main bhi na dikhaun ga sar-e-rah gireban
Tum bhii mery wadon ko sar-e-aam na kerna

Iss shart pe hai tarq-e-taaluq ki ijazat
Badnaam zamaney main mera naam na kerna

Hum log palat aaney ki khatir nahi jatey
Wa sham ke baad apney dar-o-baam na kerna

Yadon ka nasha hosh urra deta hai Arshad
Saqi se kaho samney ab jaam na kerna...!!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails