Wahan Ki Roshniyon Ne Bhi


Wahan Ki Roshniyon Ne Bhi Zulm Dhaaey Bohat
Mein Us Gali Mein Akela Tha Aur Saaey Bohat

Kisi K Sar Pe Kabhi Toot Kar Gira He Nahi
Us Aasman Ne Hawa Mein Qadam Jamaaey Bohat

Na Janey Rut Ka Tasarruf Tha Ya Nazar Ka Faraib
Kali Wahi Thi Magar Rung Jhilmilaey Bohat

Hawa Ka Rukh He Achanak Badal Gaya Warna
Mehak K Qafley Sehra Ki Simt Aaey Bohat

Yeh Kainat Hai Meri He Khhak Ka Zaara'h
Mein Apne Dasht Se Guzra Tou Bhaid Paaey Bohat

Jo Motiyon Ki Talab Ne Bohat Udas Kia
Tou Hum Bhi Raah Se Kankar Smait Laaey Bohat

Bus Aik Raat Theharna Hai Kia Gila  Kijiye
Musafiron Ko Ganimat Hai Yeh Saraey Bohat

Jami Rahey Gi Nigahon Pay Tairgi Din Bhar
Keh Raat Khuwab Mein Taray Utar K Aaaey Bohat

Shakeeb Kesi Urraan , Ab Woh Par He Toot Gaey
Keh Zair-e-Daam Jab Aaey Thay, Pharr-Pharraey Bohat....

Wao

Related Posts with Thumbnails