Zara Aankh Tou Mila


Ay Husan-e-Lala  Faam Zara Aankh Tou Mila
Khaali Paday Hain Jaam Zara Aankh Tou Mila

Kehte Hain Aankh Aankh Se Milna Hai Bandagi
Dunya K Chorr Kaam Zara Aankh Tou Mila

Kia Woh Naa Aaj Aaengay Taaron K Sath Sath?
Tanhaieyon Ki Shaam Zara Aankh Tou Mila

Saqi Mujhe Bhi Chaheye ik jaam-e-Aarzoo
Kitney Lagein Gay Daam Zara Aankh Tou Mila

Yeh Jaam, Yeh Sabu, Yeh Tasawwur Ki Chaandni
Saaqi Kahan Madaam Zara Aankh Tou Mila

Ajaega Yaqeen-e-Khuda Sab Ko Yak Ba Yak
Lay K Khuda Ka Naam Zara Aankh Tou Mila

Pamaal Ho Na Jey Sitaron Ki Aabroo
Ay Mere Khush Kharaam Zara Aankh Tou Mila

Hain Raah-e-Kehkashaan Mein Azal Se Kharray Huey
Sagar Teray Ghulaam Zara Aankh Tou Mila..........

Wao

Related Posts with Thumbnails