Apni Marzi Se Kahaan Hum


Apnii marzii se kahaan  apne safar ke hum hain
RuKh havaaon kaa jidhar kaa hai udhar ke hum hain

Pahle har chiiz thii apnii magar ab lagtaa hai
Apne hii ghar mein kisii duusre ghar ke hum hain

Waqt ke saath hai miTTii kaa safar sadiyon se
Kis ko maaluum kahaan ke hain kidhar ke hum hain

Chalte rahte hain k chalnaa hai musaafir kaa nasiib
Sochte rahte hain  kis raahguzar ke hum hain

Gintiyon mein hii gine jaate hain har daur mein hum
Har qalamkaar kii benaam khabar ke hum hain....

Wao

Related Posts with Thumbnails