Logon ke liye sahib.


Logon ke liye sahib-e-kirdaar be main tha,
Khud apni nigahon mein gunahgaar be main tha,

Kyun ab mere mansab ki salami ko khary ho
Yaro kabi ruswa sir-e-baazar bhi main tha,,,

Main khud hi chupa tha Qaf-e-qatil ke shikan mein,
Maqtool ki tootiii huiii talwaar bhi main tha,,

Cheentay hain jahan ab mere masoom lahoo ke,
Us faraq-e-falak naaz ki dastaar be main tha,,

Meri hi sada loat ke aai hai mere tak,,,
Shayad had-e-aflaak ke us paar be main tha,,

Manzil pae jo pohncha houn to maloom hua hai,,
Khud apne liye rah ki dewaar be main tha,,,

Ab mere taruuf se garezan hai tu lekin,,,
Kal tak teri pehchan ka mayaar bhi main tha,,,

Dekha tou main afshan tha her aik zehan pe mohsin,,,
Socha to pas-e-perda israar bhi main tha.....

Wao

Related Posts with Thumbnails