Gum sum hoa awaz ka darya tha jo ik shakhs


Gum sum hoa awaz ka darya tha jo ik shakhs,
Pathar bhi nahi abb wo satara tha jo ik shakhs.

Sayad woh haraf-e-wafa dhond raha tha,
Chehron ko baray ghor se parhta tha jo aik shakas,

Sehra ki tarha dair se pyasa tha woh sayad,
Badal ki tarha toot ke barsa tha jo aik shakhs,

Aae taiz hawa koi khabar us ke janon ki,
Tanha safar-e-shok pe nikla tha jo aik shakhs,

Ab akhri satron mein kahin naam hai uska,
Ahbab ki fehrist mein pehla tha jo aik shakhs,

Hathon mein chupae huwe phirta hai kae zakham,
Shishay ke khilono se behalta tha jo aik shakhs,

Her zehan mein kuch nakash-e-wafa chor gya hai,
Kehne ko bhary shehar mein tanha tha jo aik shakhs,

Munkar hai wohi ab meri pehchan ka mohsin,
Aksar muje khat khoon se likhta tha jo aik shakhs....!!! 

Wao

Related Posts with Thumbnails