Rehta hai mere jism mein


Rehta hai mere jism mein jo jan ki tarha
Andaz hai uska kisi mehman ki tarha

Kar di hai usne tark-e-mohabbat ki ibtida,
Milta tou muje se hai magar anjan ki tarha.

Dunya mein zulam-o-jabar ka nam-o-nishan na ho,
Her shakas gir rahe yahan insan ki tarha.

Tere bagair jan-e-jaan aik pal sakun nahi,
Lagne laga hai ghar muje zindaan ki tarha.

Uske liye khalos-o-wafa dil lagi sahi,
Main ishq ko samjhta houn iman ki tarha.

Garcha mere labon pe hai aik khamoshi magar,
Sine mein aik shor hai tufan ki tarha.



Wao

Related Posts with Thumbnails