Meri Taqdeer Mein Likha Nahin Piyar Kisi ka


Meri taqdeer mein likha nahi hai piyar kisi ka.
Dil ko bhi nahi dunya mein itbar kisi ka.

Hum to shama ki manid hi jala karte hain,
Bujh jaen tou lutt jae ga sansar kisi ka.

Woh han nahi karte kabhi naa nahi karte,
Le leta hai yeh jan kabhi inkar kisi ka.

Pholon se gila hai na kanton se shikayat,
Deti hai kaha sath yeh khushbo-e-bahar kisi ka.

Wao

Related Posts with Thumbnails