Dekha jo husn e yaar tabiyat machal gayi

Dekha jo husn-e-yaar tabiyat machal gayi
Aankhon ka tha kusoor churi dil pe chal gayi
Hum tum mile na thy to judaai ka tha malaal
Ab yeh malaal hai ke tamanna nikal gayi
Saaqi teri sharaab jo sheshay mein thi padi
Sagar mein aake aur bhi sanchay mein dhal gayi
Dushman se phir gayi nigaah-e-yaar shukar hai
Ek phaans thi ke dil se hamaare nikal gayi
Peene se kar chuka tha main touba magar 'Jaleel'
Baadal ka rang dekh ke niyyat badal gayi....