Deewana Banana Hai To Deewana Bana De


Deewana banana hai to deewana bana de,
Warna kahin taqdeer tamasha na bana de.

Ae dekhane waalon mujhe hans hans ke na dekho,
Tum ko bhi Muhabbat kahin mujh sa na bana de.

Main dhoond raha hoon meri wo shamma kahan hai,
Jo bazm ki har cheez ko parwana bana de!

Aakhir koi soorat bhi to ho khaanaa-e dil ki,
Kaaba nahi banta hai to but-khana bana de.

Behzad’ her ik jaam pe ik sajdaa-e masti,
Her zarre ko sang-e dar-e jananaa bana de..

Wao

Related Posts with Thumbnails