Awal-e-Shab Woh Bazam Ki Ronaq


Awal-e-shab wo bazm ki raonaq shama bhi thi parwana bhi
Rat ke akhir hote hote Khatam tha ye afsana bhi

Qaid ko tor ke nikla jab mai uth ke bagole sath huwe
Dasht-e-adam tak jungal jangal bhag chala wirana bhi

Hath se kis ne sagar tapka mausam ki bekaifi par
Itna barsa tot ke badal Dob chala maiKhana bhi

Ek lagi ke do hain asar aur dono hasb-e-maratib hain
Lo jo lagaye shama khari hai raqs mein hai parwana bhi


Wao

Related Posts with Thumbnails