Tujhe khoo kar bhi tujhay paaon | Ahmad nadeem qasmi


Tujhe khoo kar bhi tujhay paaon jahan tak dekhun
Husn-e- yazdan se tujhe husn-e-butan tak dekhun

Tune yun dekha hai jaisay kabhi dekha hi na tha
Main tou dil mein teray qadmon ke neeshan tak dekhun

Sirf iss shoq se poochi hain hazaron baatein
Main tera husn, teray husn-e-bayan tak dekhun

Meray veerana-e-jaan mein teri yaadon ke toofail
Phool khiltay nazar aatay hain, jahan tak dekhun

Waqt ne zehan mein dhudhla diye teray khad-o-khaal
Yun tou main toottay taaron ka dhuwan tak dekhun

Dil gya tha tou ye aankein bhi koi lai jata
Main faqat aik hi tasveer kahan tak dekhun

Ik haqeqat sahi, firdos mein huroon ka wajood
Husn-e-insaan se nibat lun tou wahan tak dekhun..!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails