Sochon pe gham ki shaal hai | Saeed Wasiq Ghazal


Sochon pe gham ki shaal ha, tum kion chalay gaye?
Her simt aik jaal hai, tum kion chalay gaye?

Sab pochtay hain tark-e-marasim ke waqiyat!
Kis ko mera khiyal hai? tum kion chalay gaye?

Taza tamaam zakham baharon ne ker diye!
Her phool ka sawal hai, tum kion chalay gaye?

Hasna to khair apna muqadar na tha kabhi!
Rona bhi ab mohal hai, tum kion chalay gaye?

Tum ne to jatay jatay mulakaat tak na ki!
Ab tak yehi malaal hai, tum kion chalay gaye?

Is hijar ne to chean liye hain apny hawaas!
Paglon sa apna haal hai, tum kion chalay gaye?

Wasiq main kis tarha se uthaon dukhoon ke bojh?
Sara badan nidhaal hai, tum kion chalay gaye?

Wao

Related Posts with Thumbnails