Itna maloom hai - Parveen Shakir


Apne bistar pee buhat dair se main neem daraz
Sochti thi kay woh is waqt kahan hoga
Main yahan hoon mager us kocha-e- rang-o-bo mein
Rozz ki tarhan see woh aaj bhi aaya hoga
Aur us ne wahan mujh ko na paya hoga!?

Aap ko illm hai'Woh aaj nahi aai hai?
Meri har dost se us nee yahi poocha hoga
Kion nahi aai woh-kia baat hui hai aakhir?
Khud se is baat pee so bar woh uljha hoga
Kal woh aaye gi tu main us see nahi bolon ga
Aap hi aap kai baar woh rotha hoga
Woh nahi hai tu bulandi ka safar kitna kathin
Serhiyan charte huee us ne yeh socha hoga

Rahdari mein,haree lawn main,pholon kay qareeb
Us ne har simmt mujhee aan dhondha hoga

Naam bhole se jo mera kaheen aaya hoga
Geer mehsos tareeqe se woh chonka hoga
Eik jumle ko koi baar sunaya hoga
Baat karte huee soo baar woh bhola hoga
Yeh jo larki nai aai hai,kaheen woh tu nahi
Us ne har chehra yahi soch kay dekha hoga
Jan-e- mehfil hai,mager aaj,faqut mere bagheer
Hayee kis darja wahi bazum mein tanha hoga
kabhi sanaton see wehshut jo hui hogi usey
Us ne be sakhta phir mujhee pukara hoga
Chalte chalte koi manoos si aahat paa kar
Doston ko bhi kisi aazr see roka hoga

Yad kar kay mujhe'Num ho gai hoon geen palkeen
"Aankh main par gaya kuch"keh kay yeh tala hoga
Aur ghbra kay kitabon main jo li hogi panha
Har sittr mein mera chehra ubhar aaya hoga
Jub mili hogi usey meri allalut ki khabar
Us nee aahista se dewar ko thama hoga
Soch kar yeh,kay behul jaye parehsn-e-dil
Uoon bee waja,kisi shaks ko roka hoga!

Ittefaqn mujhe us shamm meri dost mili
Main ne poocha kay suno-aaye thee woh?kaisey the-?
Mujh ko poocha tha-?mujhe dhondha tha charon janib
Us ne eik lamhe ko mujhe dekha aur phir hans di
Is hansi mein tu woh talkhi thi kay is see aagey
Kia kaha us ne-mujhe yaad nahi hai-lakin
Itna maloom hai ,khuwabon ka bharam toot gaya!

Wao

Related Posts with Thumbnails