Mohabbaton ka pata chalay ga - Akhtar Malik Poetry


Hadod-e-jaan se guzre ga tou mohabbaton ka pta chale ga.
Mohabbaton ki nazar hoa tou mohabbaton ka pta chale ga.

Wafa ka poda shajar hoa tou mohabbaton ka pta chale ga.
Naseeb uska samar hoa tou mohabbaton ka pta chale ga.

Phir ik laila ghiri hue hai nae zamane ki talkhiyo mein,
Phir ik wada amar hoa tou mohabbaton ka pta chale ga.

Abhi tou phirte ho doston mein aziz koi juda nahi hai,
Koi idhar se udhar hoa tou mohabbaton ka pta chale ga.

Yeh khush naseebi hai shehar bhar mein tumhara dushman nahi hai koi,
Kabhi kisi ka jo dur hoa tou mohabbaton ka pta chale ga.

Mohabbaton mein tou patharon ko bhi mom hote suna hai lekin,
Tumhare dil pe asar hoa tou mohabbaton ka pta chale ga.

Woh jis ki khatir zamane bhar ko bana rahe ho tum apna dushman,
Wohi na apna ager hoa tou mohabbaton ka pta chale ga.


Wao

Related Posts with Thumbnails