Umar ki Saari thakan laad Ke ghar jata hoon......


Umar ki Saari thakan laad Ke ghar jata hoon,
Raat bister pe main sota nahi mar jata hoon.

Aksar auqaat bharay shehar ke san'naty mein,
Is qadar zor say hansta hoon ke dar jata hoon.

Mere aaney ki khabar sirf diya rakhta hai,
Main hawao'n ki tarah aa ke guzar jata hoon.

Dil thaher jata hai bhooli huwi manzil mein kahin,
Main kisi doosrey raastey sey guzar jata hoon.

Simta rehta hoon bohat halka e ahbab mein main,
Chaar diwari mein aatey hi bikhar jata hoon...!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails