Ajnabi Shahar kay ajnabi rastay


Ajnabi Shahar kay ajnabi rastay
mairee tanhayee per muskuraty rahay

Mai bohut dair tak yunhi chalta raha
tum bohut dair tak yaad atay rhay

Zahar milta raha Zahar peetay rahay
roz martay rahay roz jeetay rahay

Zindagee bhi hamain azmaatee rahi
aur hum bhi ussay azmatay rahay

Zakham jub bhi koi zayhno dil per laga
zindagee ki taraf ik dareecha khulla

Hum bhi goya kissi saaz kay taar hain
chot khatay rahay muskuratay rahay

Kal kuch aisa hua mai bohut thuk gaya
iss liyea sun kay bhi unsuni kar gaya

kitnee yadon kay bhatkay huey karvan
dil ki zakhmon kay dur khatkhtaty rahay.

Wao

Related Posts with Thumbnails