Mujhe khabar thi woh mera nahin paraya tha


Mujhe khabar thi woh mera nahin paraya tha
Per dharkanon ne Usi ko Khuda banaya tha

Main khawab khawab jise doondhta phira barson
Woh ashk ashk meri aankh mein samaya tha

Tera qasoor nahin jaan ,meri tanhayi
Yeh roag main ne hi, khud jaan ko lagaya tha..

Wao

Related Posts with Thumbnails