Wo bachpan ki shararat


Usay meri Wo bachpan ki shararat yaad aa jaye.
Sabhi kuch bhol b jaye mohabbat yaad aa jaye.

Usay pojaa usay chaha usay maanga b hai hum ne.
Meri sachi mohabat ki ibaadat yaad aa jaye.

Kisi k payar ki khatir ye hum ne dushmani ki thi.
Usay meri zamanay se baghawat yaad aa jaye.

Humain Wo bhol hi baitha najanay kis tarha Logo.
Khudaara ab usay meri shikayat yaad aa jaye.

Humain wo jaan se piyara usay maaloom hi kab hai.
Meri pehli mohabat ki inaayat yaad aa jaye.

Usay main payar karta hon us pay jaan daita hun.
Ab usay meri ye sakhaawat yaad jaye.

Wao

Related Posts with Thumbnails