Pani ankh mein bhar ker | Abbas Tabish Ghazal
Pani ankh mein bhar ker laya ja sakta hai
Ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai
Aik mohabbat aur woh bhi nakam mohabat
Lekin is se kaam chalaya ja sakta hai
Dil per paani peeney ati hain umeedien
Is chashmey mein zeher milaya ja sakta hai
Mujh gumnaam se poochte hai farhaad o majnoon
Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai
Yeh mehtab yeh raat ki peshani ka ghao
Esa zakham to dil per khaya ja sakta hai
Phatta purana khawb hai mera phir bhi tabish
Is mein apna aap chupaya ja sakta hai