Tere Badan Se Teri Rooh Tak Nishaan Meray


Kahan Kahan Se Mitaey Ga Khush Gumaan Meray
Teray Badan Se Teri Rooh Tak Nishaan Meray

Kaheen Bhi Jaa K Basaley Tou Bhool Ki Basti
Moheet Hein Teray, Yaadon K Aasmaan Meray

Agar Chay Faasla Dou Chund Kar Liya Tu Ne
Rawaan Dawaan Hein Teri Simt Kaarwaan Meray

Mein Jaon Bhi Tou Kahan, Chorr Kar Teri Galyaan
Tu Kar Gaya Sabhi Rastey Dhuwaan Dhuwaan Meray

Uboor Hotey Nahi, Roz Tou Tay Karta Hoon
Yeh Hijr Faasley, Yeh Hijr-E-Be-Karaan Meray

Hawa K Bairrey Kisi Aur Simt Behtey Hein
Khuley Hein Aur Kisi Simt Baadbaan Meray

Mein Apne Jazbon Ki Shiddat Se Khof Khata Hoon
Keh Dushmano Se Hein Barh Kar, Yeh Meharbaan Meray

Mein Khuwab Zaar Ki Karta Tou Hon Chaman Bandi
Ujaarr Dey Na Koi Aa K Gulistaan Meray

Shagoofey Aagaey Palkon Pe Dard K Aakhir
Chupaa Sakey Na Meray Raaz, Raazdaan Meray……

Wao

Related Posts with Thumbnails