Kuch Log Bhi Wehmon Mein


Kuch Log Bhi Wehmon Mein Giraftaar Bohat Hein
Kuch Shehar Ki Galyaan Bhi Pur-Asraar Bohat Hein

Hai Kon , Utarta Hai Wahan Jis K Liye Chaand
Kehne Ko Tou Chehrey Pas-E-Diwaar Bohat Hein

Honton Pe Sulagtey Huey Inkaar Pe Mat Jaa
Palko’n Se Parey Bheegtey Iqraar Bohat Hein

Yeh Dhoop Ki Sazish Hai Ke’h Mosam Ki Shararat
Saey Hai Wahan Kam,  Jahan Ashjaar Bohat Hein

Be Harf Talab Un Ko Ataa Kar Kabhi Khud Se
Woh Yun K Sawali Teray Khuddaar Bohat Hein

Tum Munsif-O-Adil He Sahi Shehar Mein Lekin
Kiun Khoon Chhee’ntey  Sar-E-Dastaar Bohat Hein

Ay Hijar Ki Basti  Tu Salamat Rahey Lekin
Sunsaan Terey Koocha-O-Bazaar Bohat Hein

Mohsin Hamein Zid Hai Keh Ho Andaz-E-Bayaan Aur
Hum Log Bhi Galib K Tarafdaar Bohat Hein…….

Wao

Related Posts with Thumbnails