Dashat-E-Khayal


Jo Buland Baam-E-Huroof Se, Jo Paray Hai Dasht-E-Khayal Se
Woh Kabhi Kabhi Mujhe Jhankta Hai Ghazal K Shehr-E-Jamal Se

Mein Karon Tou Sajda Kis Taraf Keh Mera Woh Qibla-E-Deed Tou
Kabhi Shirq-O-Girb Se Jalwa Gar Hai, Kabhi Junoob-O-Shumaal Se

Abhi Raat Baqi Hai Qissa Khuwaa'n, Wohi Qissa Phir Se Bayaan Kar
Jo Raqam Hua Tha Kiran Kiran, Kisi Chaand Rukh K Visaal Se

Mein Jahan Bhi Tha Teray Husn K Kisi Zaaviye Ka Aseer Tha
Mein Tou Aik Pal Bhi Nikal Saka Na Kabhi Moheet-E-Jamal Se

Kabhi Tujhko Khud Mein Samo'n K Mein Likhon Chahaton K Mukalmay
Kabhi Naam Apna Nikaal Koon Teray Naam Ki Kisi Faal Se

Jo Teray Khayal Ko Jawadaa'n, Jo Meray Sukhan Ko Amar Karey
Wahi Aik Lamha Taraash Loon Teray Hijar K M    Saal Se

Meri Umar Saari Guzar Gai Hai Rasheed Jis K Tawaaf Mein
Bharay Shehar Mein Wohi Aik Shakhs Hai Be Khabar Meray Haal Se...

Wao

Related Posts with Thumbnails