Zulf-o-Rukh K Saaey Mein Zindagi Guzari....


Zulf-o-Rukh K Saaey Mein Zindagi Guzari Hai
Dhoop Bhi Hamri Hai Chhaou’n Bhi Hamri Hai

Gham Gusaar Chehron Par Aitbaar Mat Karna
Shehar Mein Siyasat K Dost Bhi Shikaari Hai

Morr Lainey Wali Hai Zindagi Koi Shayad
Ab K Phir Hawaoun Mein Aik Beqarari Hai

Haal Khoo'n Mein Dooba Hai Kal Na Janey Kia Hoga
Ab Yeh Khof-e-Mustaqbil Zehan Zehan Taari Hai

Meray He Buzargo’n Ne Sar Bulandiyan Bakhshi’n
Meray He Qabeelay Par Mashq-e-Sang-e-Baari Hai

Ik Ajeeb Thandak Hai Us K Narm Lehjay Mein
Lafz Lafz Shabnum Hai Baat Baat Piyari Hai

Kuch Tou Paein Gay Us Ki Qurbaton Ka Khumyaza’h
Dil Tou Ho Chukey Tukrrey Ab Saro’n Ki Baari Hai

Baap Bojh Dhota Tha Kia Jahaiz De Paata
Iss Liye Woh Shehzadi Aaj Tak Kanwari Hai

Keh Do Meer-o-Galib Se Hum Bhi She’ar Kehtay Hein
Woh Sadi Tumhari Thi Yeh Sadi Hamari Hai

Karbala Nahi Lekin Jhoot Aur Sadaqat Mein
Kal Bhi Jung Jaari Thi Aaj Bhi Jung Jaari Hai

Gaao’n Mein Mohabbat Ki Rasm Hai Abhi Manzar
Shehar Mein Hamarey Tou  Jo Bhi Hai Madaari Hai….

Wao

Related Posts with Thumbnails