Rehna tha mujh ko teri nazar


Rehna tha mujh ko teri nazar k kamaal mein
Lekin main din guzaar rahi hoon zawaal mein

Ghaira hai is tarah mujhe wehshat k jaal ne
Sab khawab mere doob gaye is malaal mein

Mujh se nazar chura k guzarnay lagi hawa
Aanay lagi jo hijr ki khushbu wisaal mein

Hoon saa-at-e-azaab mein kiyun main abhi talak?
Ik umar se ghhiri hoon issi ik sawaal mein

Bay chainiyaan tamaam hi main uski orrh loon
Shamil mujhe karay tau kabhi apnay haal mein

Main sun rahi hoon phir se judaai ki aahatein
Jeena parray na phir se inhi maah-o-saal mein

Qismat se raah mein jo jazeeray humain milay
Tere gumaan mein thay,na mere khayyaal mein

Wao

Related Posts with Thumbnails