Aadtain uski thin bus


Aadtain uski thi bus mujhay jalanay wali..
Baat ki hans kay magar dil ko dukhanay wali..

Aajkal wo mujhay kuch badla huwa lagta hai..
Ho gain uski nighain bhi zamanay wali..

Hum nay ikhlas ka daaman nahi chora ab tak..
Haye uski to mohabbat hai rulanay wali..

Main nay samjha tha guzar jai ga mausam laikin.
Rut - e - barsaat bhi nikli to sataanay wali..

Tumharay wastay ab koi nahi hai WASI..
Khud sai batain na karo dil ko behlanay wali..

Wao

Related Posts with Thumbnails