Aag ka dariya


khoobsoorat phool sabko aag ka dariya mujhe,
zindagi to dost thi par kis tarah rakkha mujhe.

aandhiyon ne kar rakha hai sar kalam kuchh is tarah,
ab nahin milta kahin par bhi diya jalta mujhe.

dhoondta hi rah gaya main ek chehra umra bhar,
ek insaan hi nahin warna mila kya-kya mujhe.

dophar ab dhal chuki hai dastqen sun shaam ki,
kah raha hai kaan me ye waqt ka pahiya mujhe.

kuchh to maine bhi nahin chaha kinara choRhna,
kuchh purani kashtiyon ne bhi NAZAR roka mujhe.

Wao

Related Posts with Thumbnails