Kaun Is Raah Se Guzarta Hai


Kaun is raah se guzarta hai
Dil yun hi intezar karta hai

Dekh kar bhi na dekhnay walay
Dil tujhe dekh dekh darta hai

Shehar-e-gul mein kati hai sari raat
Dekhiye din kahan guzarta hai

Dhayyaan ki seerrhiyon pe pichhlay pehar
Koi chupkay se paaon dharta hai

Dil tau mera udaas hai NASIR
Shehar kyun saayeein saayeein karta hai....???


Wao

Related Posts with Thumbnails