Bara Dushwar Hota Hai...

"Bara dushwar hota hai"
Zara sa faisla kerna
k jeevan ki kahani ko
beyan-e-bezubani ko
kahan se yaad rekhna hai
kahan se bhool jana hai
kise kitna batana hai
kis se kitna chupana hai
kahan hans hans k rona hai
kahan awaz deni hai
kahan khamosh rehna hai
kahan rasta badalna hai
kahan se lout aana hai
"Bara dushwar hota hai"
Zara sa faisla kerna