Kamraan Najmi Urdu Ghazal


Zulmat-e-shab mein ujalon ke tamanna na karo
khwab dekha hai to ab khwab ko rusva na karo

bojh suraj ka padega to lachak jayengi
raat ke surmai shakhon pe basera na karo

khwab umeed nasha sans tabasum aansu
tutane vali kisi shay pe bharosa na karo

hum ne aankhon ko jalaya tha ki kuch dhundh chate
tum nai nasl ke suraj ho tum aisa na karo

ashk pine ka hunar sikh lo hum se aakar
jazba-e-dil ko nigahon se haveda na karo

mausami barf hain kuch der mein bah jayenge
in badalate hue rishton pe bharosa na karo

ye faza ras na aayegi tumhen ae “najmi”
yaad guzri hue lamhat ke taza na karo....

Wao

Related Posts with Thumbnails