Wafa Ki Raah Ko Humwaar Krna Parta Hai


“Kuch Es Tarha Usay Pyar Karna Parta Hai”
“K Apne Pyar Se Inkaar Karna Parta Hai”

“Kabhi Kabhi To Wo Itna Qareeb Hota Hai”
“K Apne Aap Ko Deewar Karna Parta Hai”

“KHUDA ne Us Ko Ataa Ki Hai Wo Maseehai”
“K Khud Ko Jaan K Beemaar Karna Parta Hai”

“Wafa Ki Rah Ma? Dushwariya To Aati Hain”
“Wafa Ki Rah Ko Humwaar Karna Parta Hai”

“Wo Haath Rakh K Mere Dil PE Jab Puchta Hai “Mohsin”
“To Mujhe Dard Se B Inkaar Karna Parta Hai”.


Wao

Related Posts with Thumbnails