Kya Yehi Ishq ka Mayaar Bana rakha hai


Kya Yehi iShQ ka Mayaar Bana rakha hai' 
Tum Ne Hr Shakhs ko DiL'daar Bana rakha hai, 

Log Aatay hain Thehrtay hain ChLay Jatay hain'  
Tum Ne to DiL ko bhi Bazaar Bana rakha hai, 

Aankh men AShk Bhray Jisam pe Maatam k Nishaan' 
iShQ Ne Sab ko Aza'daar Bana rakha hai, 

Sach to Ye hay k khud Apna Mukhalif Main hoon' 
Khud ko Khud Raah ki Dewaar Bana rakha hai, 

Dukh to Ye hay k Wo Saari hi Kahani main Nahi' 
Hum Ne Jisko Markzi kirdaar Bana rakha hai..


Wao

Related Posts with Thumbnails