Awal Awal Ki Dosti Hai Abhi......


awal awal ki dosti hai abhi
aik ghazal hai k ho rahi hai abhi

main bhi shehr-e-wafa mai nowarid
woh bhi ruk ruk k chal rahi hai abhi

main bhi aisa kahan ka zod-o-shanas
woh bhi lagta hai sochti hai abhi

dil ki waruftagi hai apni jaga
phir bhi kuch ehtiyat si hai abhi

kaisa mausam hai kuch nahi khilta
banda bandi bhi dhoop bhi hai abhi

khud kalami main kab yeh nasha tha
jis tarha roobaru koi hai abhi

qurbatien lakh khubsorat hoon
dooriyon main bhi dilkashi hai abhi

main bhi kisi wadiye khayal main tha
baraf si dil pe gir rahi hai abhi

main to samjha tha bhar chuke sab hi zakhm
dag shayad koi koi hai abhi

zindagi kue na muradi hai
kis ko murr murr ke dekhti hai abhi

aisa lagat hai khilwat-e-jaan main
woh jo aik shaks tha wohi hai abhi

muddate ho gai Faraz magar....?
woh jo deewangi thi ke hai abhi

Wao

Related Posts with Thumbnails