Mayar girta na doston ka


Mayar girta na doston ka, na ham bhi dushman ki dahaal hotay, 
Zaeef dushman pe waar kartay, tou waqt k ham dajaal hotay,

Nahi tha apna mizaaj aesa, k zarf kho kar anaa bachatay,
Wagarna aese jawaab detay, k phir na paida sawaal hotay,

Hamari fitrat ko janta hai, tabhi tou dushman ye keh raha hai,
Hai dushmani main bhi zarf aesa, jo dost hotay kamaal hotay,

Jo aa k tum haal puch letay, tou itni lambi na umr lagti,
Kay wasl ki ik ghari main saray, guzar gaye maah-o-saal hotay,

Usay mubarik maqaam uncha, sahi haqeeqat hamain pta hai,
Banatay rishton ki ham bhi seerhi, tou aasmaan ki misaal hotay..


Wao

Related Posts with Thumbnails