Kitab-e-Zindagi


Kitab-e-Zindagi main mainay
Kuch Rangh bharay thay Khuwabon Ke
Magar !

Na janay kaisi hawa chali k
Auraaq ulat’tay gay ….
Aur Fikr k haashaiy khinchtay hi chalay gay

Woh Alfaz …….
Jo khushi ka ehsas ban kar mehaknay lagtay thay
Un main say kuch !

Dhundhlay ho chalay
Aur kuch mit chalay
Ab qalam bhi saath nahi deta
K phir say wahi likhawat ho
K phir say wahi Sajhawat ho

lagta hay !
Ab to yeh sitrain sada khali hi rahain gi !

Wao

Related Posts with Thumbnails